Amazon affiliate marketing

Aap log Amazon ke name se to parichit hai kyonki yah online shopping karne ki number 1 website hai. Is website par sabhi tarah ke product sell kiye jate hai. Iss website par koi aisa product nahi hai jo aapko mil na sake isliye ise sabse badi online shopping website khete hai. Lakin kyu aapko iss baat ki bhe jankari hai ki amazon ke madhyam se aap ghar bate badi asani ke saath online paise bhi kma sakte hai aur toh aur agar aap chaiye toh apne product ko bhi is par bech sakte hai.

Toh aaiye jante hai vaise toh amazon se bahut sare tariko se paisa kamaya ja sakta hai lakin hum aapko sabse aacha aur aasan tarika batane ja rahe hai jise amazon affiliate marketing kahte hai.

Amazon affiliate Marketing Kya hai?

Koi bhi blogger jiska blog hai aur us par achcha traffic aa raha hai vo amazon affiliate program ko join karke amazon par sell hone vale kisi bhi product ka usse link ya banner laker apne blog par lagakar use promote ya sell kar sakta hai. Aisa karne vale blogger ko amazon uss product ke sell hone par usme se kuch commission deta hai. Jisse blogger ki online kamai ho jati hai. Jitne jyada log uss blogger ke blog par jakar amazon duara diye gaye product ke link par click karke amazon ki shop se sell karenge toh blogger ko utna jyada commission milega. Yah puri prakriya he amazon affiliate marketing khalati hai.

Amazon affiliate program ko join kaise kare ya phir is par apna account kis tarah banaye taki hum affiliate marketing kar sake.

Iske liye kuchch step follow karni hogi jo is prakar se hai.

  • Sabse pahle amzon ki affiliate program ki website par jakar join now for free par click Karen.
  • Ab create new account par click karke account bana le.
  • Iske bad website vala page open hoga jisme aapko apne blog ya website ka link dena hoga, link dekar next par click Karen.
  • Iske bad profile vala page open hoga jisme aapko sabhi detail fill karni hogi.
  • Ab finish par click kare.
  • Ab now par click karke payment ya tax ki details dale.
  • Is prakar aapka amazon affiliate account ban jayega.
  • Ant me aapke pas amazon se ek email aayega jisme yah jankari hogi ki aapka account approve hua hai ki nahin.

Amazon affiliate se paise kaise kamaye

Jab aapka amazon par affiliate account ban jaye to sabse pahle amazon account par login kare. Uske bad us product ko search kare jise aap sell ya promote karna chahte hai.

Jab aap us product ko select karke us par click karenge to us product ke top par toolbar ka option hoga. Us option par jakar text+image par click Karen.

Text+image par click karte hi aapke Amazon affiliate program ki product link create ho jayegi. Is link ko apne blog ya website kpar kahin par bhi laga sakte hai. Jab koi visitor aapki website ya blog par aaker is link par click karega aur us product ko kharidega to aapko usme se kuchch commission milega jisase aapki online earning hogi.

Agar koi visitor is link par kewal click karta hai  ya phir use share karta hai to bhi aapki online kamai ho jati hai.

Amazon Affiliate se paisa kamane ka tarika

Agar aap chahte ki aapki Amazon Affiliate marketing se online earning jyada se jyada ho to aapko kuchch baton ka vishesh dhyan rakhna hoga.

  • Hume aise product ko select karna chahiye jise log jyada kharidate ho, kyonki agar aap aise product ki link apne blog par lagayenge jise log kam kharidate hai to aapki kamai nahin hogi.
  • Kisi bhi product ko promote karne ke liye quality content ka hona jaruri hai kyonki koi bhi visitor product ke link par click karne se pahle uske bare mein sari jankari prapt karna chahta hai.
  • Popular social app par product ke link ko share karke jyada se jyada paisa kama sakte hai kyonki product ki link jitni jyada share hogi to log use click bhi karenge aur kharidenge bhi.
  • Social media par jyada se jyada kriyasheel rahkar aap product ko promote kar sakte hai.
  • Aap jis product ko apne blog ya website par promote ya sell karna chahte hai usase sambandhit jankari bhi article ke roop me apne blog par dal de to aapke blog par visitor jyada se jyada aayenge aur product ke link par click karke use kharidenge.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Translate »