healthy lifestyle

Bhojan kam khana ya na khana dieting nahi hai. Aamtor per logo ka manna hai ki mote hone ke karan kewal bhojan hai, jo ki bilkul galat hai. Khana ki apni ek alag jarurat hai. Vajan kam karne ke liye regular exercise aur yoga ke sath diet bhi jaruri hai. Jeevan me sabse mushkil kam hai saral, santulit bane rahna, lekin yah namumkin nahi hai. Yadi tips for a healthy lifestyle chhoti chhoti bato ko aap apni dincharya aur jeevan ka hissa banakar apni adat me shumar ker lenge, to jindagi n sirf behter lagegi, balki healthy bhi banegi.

Kisi bhi sharer me bimari bolker nahi aati, lekin hum jaisa apne sharer ke sath karenge vaisa hi hum payenge. Agar utpatang khana khayenge to sharer bhi kuchh samay bad aapko ander se bimar karte jayega. Healthy diet lene se aap jeevan ke her padav me healthy rahenge. Badi se badi bimari se ladne ki shakti aapko milegi. Yahan hum aise hi tips for a healthy lifestyle ke de rahe hai, jo aapke jeevan ko banayenge aur bhi behtar.

  • Apne dainikcharya ki jindgi me kuchh badlav kijiye, jaise pani jyada piye, din bhar me 15 glass pani jaruri hai.
  • Subah jab bhi uthe normal pani 1 glass piye. Fresh hone ke bad 1glass gunguna pani nimbu ki kuchh bunde dalker piye, isse pachantantra majboot hoga aur sath hi immunity bhi badegi. Kabj aur acidity jaisi preshaniya bhi dur hoti hai.
  • Din bhar ki dincharya me subah ka nashta bahut jaruri hota hai, ise kabhi bhi chhode nahi. Isme aap poha, oats, upma, aadi le sakte hai. Sath hi milk ya juice ya lassi ya koi bhi ek mausmi fruit ko apne breakfast ka aham hissa banaye.
  • Lunch me salad, dahi v sabjiyo ko adhik se adhik apne khane me shamil kare. Apni bhukh se thoda kam khane ka prayas kare jaise aap 4 chapati khate hai to 3 hi le.
  • Agar aap jwar ki chapatti kha sake to bahut achcha hoga. Isme shakkar ki matra kam hoti hai isliye yah gehun se jyada achcha hota hai.
  • Khane ke bich-bich me pani nahi peena chaihiye isse pachan kharab hota hai. Khane ke turant bad bhi pani nahi peena chahiye.
  • Freeze ya water cooler ke thande pani se door hi rahe. Aap jaldi se apni vajan kam karna chahte hai, to din bhar gunguna pani hi le.
  • Sham ke nashte me bhi chai ya coffee ke sath biscuit le. Sath hi kuchh halka jaise bhel, kale chane ya juice le. Sham ke nashte ke karan aapko rat ke khan ke samay me bahut jyada bhukh mahsus nahi hogi, jis karan aap kam khane me kam chala payenge.
  • Alag-alag protein le, ye aapko beans, nuts, seeds, tofu, soya products me milenge. Calcium yukt bhojan bhi jarur le, jaise milk, lassi, dahi. Iske alawa hari pattedar sabjiya bhi calcium ke achchi shrot hai.
  • Vayakti ke sharer ko sabse jyada nuksan rat ke khane se hota hai. Der rat bhari khana khane se bahut si preshaniya hone lagti hai. Rat ko halka bhojan le. Khane ke turant bad sona nahi chahiye. Koshish kare rat 8 baje tak apna dinner le.
  • Over eating se bache. Hamesha bhookh se thoda kam hi khaye. Aksar apna manpasand khana dekhte hi hum jyada kha lete hai, lekin aisa nahi karna chahiye.
  • Halke exercise jarur kare aur healthy rahne ke liye yoga bhi ker sakte hai.
  • Rat ko jaldi sone ki aadat dale aur subah bhi jaldi uthe.
  • Jindgi ki bhagdor aur tanav me aapki hansi gayab n ho jay, isliye khulkar hanse. Khulkar hansne se lungs me lachilapan badta hai aur unhe taji hawa milti hai.
  • Rozana thoda dhyan lagaye. Isse ekagrata badti hai aur aap refresh mahsoos karte hai.

Upper sabhi tariko ko aap apne din bhar ke samay ke hisab se apne routine me shamil ker sakte hai. Yah sabhi healthy life style tips aapki sehat se jude hai, inhe agar aap apne routine me late hai, to bhavishya me hone vali preshaniyo se dur ho sakte hai. Jis trah kamana, panda, ghar ya khana jaruri hai, usi tarah sehat bhi jaruri hai, kyounki hum sabhi swasth rahenge tabhi kushiya rahengi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Translate »